|
Yeh hay mera ghar, iss ki khamoshi aour tanhai ka khiyal kiye baghair aaiye aour iss kay andheron ko door kernay kay liye iss kay kiwarhon ko wa kijiye, dareechon per parhay dabeez parday sarkaiye. Yahan ki her cheez apkay liye ajnabi to hay mager iss ki deewaron pay Aawaizan tasaweer, almarion main rakhay mazi ki yadon say bharpoor khatoot, jin main wasal kay rangeen naghmay, Hijar ki sard aahein, bahar kay phoolonki moa'ter shaguftgi, Hawa kay dosh per khizan kay paton ki sarsarahat, Sawan main chatt kay tapaknay ka manzar, Rindon ki mehfil main saqi ki ankhon say ubherti sharab ka nasha, mohabat kay waa'day, judai ki batein, jifaon kay shikway, gham-e-rozgar aour gham-e-daoran ki haqeeqat, wafaon aour jifaon ka imtezaj, mulaqaton main takheer kay gilay, Zindagi aour maot ki kashmakash, androon-e-khana goonjatay nuqrai qahkahay, karahatein, dabi sargoshiyan, qadmon ki chap main ghuli payel ki jhankar, ulfat kay haseen lamhay. Sabhi kuch to hay aap kay adabi zaoq ki taskeen kay liye. Kuch aayine bhi hain jin per waqt ki dhool jam chuki hay jiss nay aks dhundla diye hain, Aour iss kay ilawa kuch bhi to nahein jiss ka ziker kiya jaye. Han her aik shay ko daikhiye laikin apni jaga say na hatiye takeh jab aap phir tashreef laein to yeh dar-o-dewar manoos say lagain. Bohat shukriya aap ki tashreef aawri kay liye.
|