TARZ-E-KALAM
BUNIYAD-E-SHAHR SHEHRI AALA-E-KAR
Yahan likhi iss tarteeb main say
bohat si cheezon say aap pehlay
say waqaf to hon gay, laikin kuch
naye likhnay walon ki rahnumai kay liye yeh mukhtasir buniyadi baatein
paish ker raha hoon. Sha'iri
jo Urdu zuban ka aik khoobsoorat
hisa hay, yeh uss kay liye madadgar sabat hogi.
To chaliye shorooh kertay hain.

Sab say pehlay yeh batana zaroori
haoga,keh Urdu zaban main likhnay kay teen khoobsoorat tareeqay
istemal hotay aa rahay hain,

1.NASAR
2.NAZM
3.GHAZAL

Urdu zuban main 'Nasar' seedhi sadi ibarat ka nam hay jisay likhnay main alfaz ki tarteeb ko uoon paish kiya jata hay keh parhnay wala
shakhsi baat cheet kay mahol main
doob jaye. Ghalib kay khatoot
Urdu Nasar ki behtreen misal hain.Yeh
doosray do sha'irana andaz aik doosray
kay mushabeh hotay hooay bhi mukhtalif hain.

NAZM:

Yeh bandish shahron ka
majmooa hai, Jo keh kisi aik hi khiyal, waqia, ya nazriya ko tarteeb
say paish kernay ka nam hay. Jis main shehron kay buniyadi asool wohi hain jo keh ghazal main. Sirf sab
kay sab ash'aar aik doosray say uoon
milay hotay hain, keh aik kahani ka
biyan mahsoos hota hay.

NAZM:

shehr kehnay ka woh
tareeqa hay jis main Alfaz pehlay
shehr se layker aakhri shehr tak aik
hi baat ya nazriya ki taraf twajoh
dilatay rahtay hain, tasalsal qaa'im
rakhnay kay liye aik shehr doosray
shehr ki taraf ishara kerta aour mila
(Threaded) hooa rehta hay.

GHAZAL:

abb doosri taraf ghazal main yeh pabandi nahein keh aik shehr doosray say jurha ho, yehni agar pehlay shehr main Zulf ka zikr hay to aglay shehron main chandani, bahar, sawan, khizan, maoat aour zindagi, ghata, aour shafaq ka kisa bhi ho sakta hay. Han sirf ash'aar kisi aik zamanay kay tehat hi hon, yehni Zamana haal, Mazi, ya mustaqbil. Ghazal ka asal mizaj Urdu shairi main mehboob ki shaan main likhay shehron per mushtamil hay. Ghazal main her aik shehr apni jaga aik mukamil baat ya ta'reefi jumla hay. Jabkeh nazm main her aik shehr aik doosray kay baghair adhoora hay. Han magar aagay likhay chand asool bhi donon sooraton main zaroori hain. Ghazal main mehboob ki judayi, bevafai, ishq, kurbani, khoobsoorti, ka zikr kiya jata hay. Donon soorton main Alfaz ko shehron main paronay kay chand asool mandarja zail hain.

* SHEHR:

Do misron per
mushtamil alfaz ki bandish ko shehr ka naam diya jata hay.


Pehlay uss nay mus kaha phir taq kaha phir bill kaha

Iss tarah zaalam nay mustaqbill kay tukrhay ker diye


Shehr main alfaz ka rythm nihayet
zaroori hota hay, jo keh parhnay walay ko baghair kisi rukawat kay
shurooh say aakhir tak lay jaye. Her aik lafz apnay ma'ni kay sath aik doosray say rawani main jurha ho.
Jaisay ooper likhay shehr ko bar bar
parhain to her ik lafz aik doosray ko
aik tasalsal daita mehsoos hota hay, aour aap
baghair rukay poori layinain parh
jayein gay.

* MATLAH:

Ghazal kay pehlay
shehr ko matlah kaha jata hay. Aam taor per jiss kay donon misron main radeef aour
kafia milaty hooay hotay hain.

* MAQTAH:

Ghazal ka akhri
shehr jis main sha'ir hazrat apna ,
asal, farzi, ya waza shuda nam shamil kertay hain.

* TAKHALUS:

Likhnay walay sha'ir ka adabi waza shuda naam, jaisay Naz, Nazuk, Ghayel.
Ya kayi sha'ir hazrat apna asal
naam bhi shamil kertay hain, jaisay
Faiz Ahmad FAIZ,
Amjad Islam AMJAD,
Ahmad FARAZ.

* RADEEF:

Shehr main her
doosray band kay akhri alfaz jo aam taour per aik hi rehtay hain.

* KAFIA:

Yeh aik hi taraz
kay woh mukhtalif ham awaz alfaz
hain jo Matlah kay donon aour baqi
ash'aar ki her doosri line main
paroaye jatay hain. Apni ghazal kay
chand ash'aar misal kay taor par paish hain.

Uthaye aaj tak sadmay bohat unki jafaon kay
Magar dhoonday nahein phir bhi saharay unki bahon kay

Kabhi na khatm ho paayi hamaray ishq ki manzil
Dikhaein kiuon kisi ko phir yeh chalay apnay paaon kay

Kahan pabandiyan rokain gi ab meray khiyalon ko
Badal saktay nahein parwaz ko yeh rukh hawaon kay

Hamara jurm yeh ahd-e-vafa bhoolay nahein Almas
Kahan ginwayein ja ker zulm ham un parsaaon kay

Abb in ash'aar par ghaour karein Ghazal kay matlah main donon band
main aakhri alfaz ka taranam aik hi hay.

Jafaon kay
Bahon kay


Iss main 'Jafaon' aour 'Bahon' donon alfaz ko 'KAFIA' aour
'Kay' ko RADEEF kehtay hain.
Radeef sab shehron main
aik hi rehta hay jabkeh Kafia
apnay HamAwaz alfaz main badalta rehta hay.
Issi tarah say aakhri shehr MAQTAH
kehlata hay jis main shaair ka naam shamil
hota hay.
Ghazal main aik shehr ko

BAND


bhi kaha jata hay.
NAZM main shehron ki bandish kay chand
aik naam hain jo misron ki ginti kay
hisab say kahay jatay hain.

MUSALIS

Teen misron per.

MURABA

Char misron per.

MUKHAMAS

Panch misron per.

MUSADAS

Chay misron per.
Uss kay ilawa.


KATA
RUBAHI
HAMD
MARSIA
MANKABAT

bhi sha'iri kay kuch andaz hain.

KATA


Char misron ya do ash'aar par
mushtamil sari kahani ko KATA ka
naam diya jata hay.
In do ash'aar main shair apna poora
mud'aa bayan ker daita hay.

Jaisay keh....

Meray mehboob main muflis-o-kalash sahi
Dil ki daolat teray qadmon main luta sakta hoon
Kehkashan tujh pay nachawer to nahein ker sakta
Teri rahon say main pather to hata sakta hoon


Teray sheeshay main maiy baqi nahein hay
Bata kiya too mera saqi nahein hay
Sumander say milay piyasay ko shabnam
Bukheeli hay yeh razaqi nahein hay


BAHR


Shehron ki bandish ka aik napa tula
paimana hay,jisay 'BAHR' ka nam diya
jata hay.

WAZAN


Wazan shehr ka sahi twazan rakhnay ka aa'la hay Jiss ka istemal
shurooh say akhir tak rawa rakha
jaata hay. Adabi sumander main
say chand moti paish hain, inn buniyadi cheezon ka khiyal rakhtay
hooay tabah aazmai kernay ki koshash
kerain. Shehr kehnay kay liye
sab say pehlay to takhiyul ki
zaroorat hay, us kay saath hi
RADEEF aour KAFIA
ki tarteeb zaroori hay, Aasan tareeqa kay tour per Kafia kay liye
jitnay hamawaz lafz yad ker sakain unki fehrist bana lain,
bas aapka kam ho gaya,
un alfaz ko aasani kay sath apnay
ash'aar main parotay jaiye.
Apnay izhar-e-khiyal kay
liye mujhay likhiye.


Kuch fikr ki kaliyon ko chun ker
Larhiyon main paroya jata hay
Daman per aaye daghon ko
Ashkon say dhoya jata hay

Afkar ki tapati dhoop talay
Sochon ko ubaala jata hay
Phir waqt kay dastay sanpon ka
Kuch zahar nikala jata hay

Kuch un main tarhap judayi ki
Kuch wasl ki raton ka darpan
Kuch un main jafaon kay qisay
Baydard jafaon ka joban

Her urq-e-nadamat ka qatra
lafzon kay roop main dhalta hay
Phir khoon-e-jigar shamil ho kar
Shehron ka rang badalta hay



Khair Andesh
Steve Almas


Khwateen-o-hazrat.
Shehr likhnay ki chand buniyadi cheezon
main Radeef aour Kafia nihayat zaroori
hay, likhtay waqt yakdam sahi alfaz ka
yad kerna jooye Sheer lanay kay baraber
hay. Issi liye jab main nay shahr kehnay
kay buniyadi asoolon ka zikar issi safa
per kiya to aapki sahoolat kay liye chand
Kafia jaat ko bhi yahan shamil kerna munasib
khiyal kiya. To lijiye neechay likhay alfaz
say fayida uthayein.Inhaein likhtay waqt
main nay misali ash'aar bhi shamil kiye hain
jo keh aein ussi waqt zahni ikhtrah hain,
harf-e-akhir nahein. Baqi abb aap per hay.
Aik aour baat ki yad dahani bhi zaroori hay,
keh alfaz ko chuntay waqt sahi awaz aour
rawani kay liye 'Paish''Zabber''Zair' ki
awaz ka khiyal rakhna bhi mufeed sabat hoga.
misal kay taour per agar aap lafz 'Girana'
'Mitana' lain to uss kay sath 'Sunnana' jaisay
lafz say perhaiz rakhain kiuonkeh pehlay alfaz
zair say aour aakhri paish say shurooh hota hay.
Waisay ajkal baa'z dafa yeh pabandi zaroori bhi
nahein samjhi jati.
_______________________________________

Kafia Jaat


Choukhat pay uski baar baar aana parha mujahay
Uss sangdil ko aakhir manana parha mujhay

Aana, Jaana, Taana, Baana, Bannan,
Hattana, Lajana, Darana, Ganwana,
Pakana, Harana, Ghattana, Kattana,
Jagaana, Machaana, Dabbana, Jallana,
Basaana, Phansaana, Fasaana, Hansaana,
Larhaana, Bahaana, Taraana, Gaana,
Bataana, Sataana, Begaana, Bachana,
Zamaana, Dahaana, Kamaana, Bajaana
Giraana, Phiraana, Mitaana, Hilaana,
Sikhaana, Dilaana, Khilaana, Milaana, Nishaana,
Urhaana, Jhukaana, Ghuraana, Sulaana,
Chukaana, Puraana, Uthaana, Bulaana,
Suhaana, Bujhaana, Sukhaana, Chubhaana,



Nikal ker unki gali say Daar tak pohnchain gay ham
Ishq ki mae'raj hay uss par tak pohnchain gay ham

Kuch aap sath dainay ka iqraar bhi na kertay
Ham zindagi main shaayed kabhi piyar bhi na kertay


Deewr, Inkaar, Bekaar, Izhaar, Purkaar,
Talwaar, Shahkaar, Akhbaar, Hazaar, Bezaar
Ahtbaar, Inhasaar, Anwaar, Atwaar, Lachaar,
Ash'aar, Ashjaar, Minqaar, Aghiyaar, Asraar,
Iqraar, Bazaar, Udhaar, Aashkaar, Afkaar,
Beemaar, Naakar, Waar, Gunehgaar, Atwaar,
Paykaar, Haar, Kardaar, Sarkaar, Bezaar,
Pardaar, Jhankaar, Mehkaar, Aazaar, Aar,
Chehkaar, Akhtiaar, Gharbaar, Harbaar, Maar,
Meenaar, Bahaar, Uspaar, Manjdhaar, Sadaar,
Goshwaar, Naamdaar, Kharkaar, Mazaar, Sarkaar,
Pindaar, Dastaar, Nakaar, Badkaar, Dhaar,
Ustwaar, Beshumaar, Bekaraar, Lohaar, Daar,
Nagawaar, Qasoorwaar, Haqdaar, Khushgawaar,
Sogwaar, Piyaar, Dilfigar, Jaandar, Shakaar,
Mahaar, Daghdaar, Honehaar, Laalazaar, Asraar,
Zordaar, Hamkinaar, ____

Yeh kaisay kahein unn say nafrat nahein hay
Magar bhool jaaein haqeetat nahein hay


Haalat, Muzamat, Naseehat, Nighat, Bohat,
Adaawat, Tal'at, Shokat, Harkat, Ghurbat,
Chaahat, Barkat, Milat, Sharbat, Da'wat,
Qaamat, Laz'at, Aourat, Hairat, Mohabbat,
Chaahat, Izat, Daolat, Furqat, Fursat,
Qudrat, Taaqat, Malamat, Nafrat, Zahaanat,
Ijaazat, Sharaafat, Haqeeqat, Naseehat,
Museebat, Hakoomat, Shohrat, Shikaait,
Sharaarat, Naba'wat, Hidait, Baseerat,
Bashaarat, Haraasat, Najaasat, Rasaalat,
Badolat, Kadoorat, Baghawat, Musha'kat,
Tabee'at, Khariyat, Mulaamat, Mashee'at,
Mukhalfit, Mutaabkat, Sahat, Amamat, Ulfat,
Ishaa'it, Abbadat, Nifaasat, Baghaawat,
Banaawat, Bashaashat, Hajaamat, Aqeedat,
Maa'zrat, Gha'rat, Nea,mat, Qurbat, Himat,
Dehshat, Mahaarat, Mehnat, Musha'qat,
Alaalat, Azmat, Sohbat, Shirkat, Hasrat,
Soorat, Kadoorat, Kasrat, Halakat, Ghairat,
Muzamat, Qeemat, Aaadat,______

Badal kay chehra milnay walay bhi hain kitnay mahir log
Hotay hain kuch aour nazar aatay hain kuch bazaahar log

Bhanwar, Sanwar, dahar, shajar, kohar,
Magar, agar, Johar, pehar, Naokar, Hazir,
Anwar, Baahar, Lehar, Gohar, Nehar, Fajar,
Sahar, Nikhar, Khabar, Nazar, Zaahar, Andar,
Doobhar, Shahar, Hunar, Guzar, Gajar, Qahar,
Hasher, Jabar, Nashar, Namber, Saabir,
Qadar, Samar, Khanjar, Saahar, Taair,
Chakar, Badar, Shukar, Shohar, Laghar,
Shaa'ir, Munkar, Mahir, Shakir, Dilbar,
Akhtar, Aakhir, Mandar, Nashtar, Tajir,
_______
Kiraye ka tha yeh makan badliye
Ba waqt-e-ajal ashiyaan badliye


Makan, Dukan, Azan, Jahan, wahan, Yahan,
Faghan, Aasan, Khizan, Darmiyan, Nihan,
Jawan, Dhoowan, Nishan, Kahan, Dastaan,
Aashiyan, Mehrban, Bazuban, Kaarwan,
Kaamran, Aastan, Jawedan, payedan, Kisan,
Naatwan, Musalman, Dushmanan, Bar-e-Giran,
Ustkhan, Gulfishan, Maizbaan, Jan-e-jan,
Paasban, Armaan, Butan, Rawan dawan,
Pashaman, Sardian, Girayban, Baghban,
Taarikan, Aastan, Jabiran, Naojawan,
Khaniman, Nagahan, ________

Daala khiyaal-e-yaar nay kaisay izaab main
Laker dabo diya daor-e-sharaab main


Sharaab, azab, hisab, kitab, mahtaab,
Loaab, Qasab, Kharab, Ahbaab, Aadab,
Khizaab, nisab, Alqaab, Nawab, Chanaab,
Janaab, Taizaab, kamyaab, Ruqaab, Ataab,
Saraab, Dawaab, Uqaab, Beaab, Dastyaab,
Sohraab, Niqaab, Shabaab, Taab, Jawab,
Baab, Kabaab, Shadaab, Sawaab, Betaab,
Kimkhwab, Gardaab, Khawab,______

Ghir kay aati hay ghatta bersat ki hoti hay baat
Zulf jab bikhray to aksar raat ki hoti hay baat


Haalat, Jazbaat, sawaalat, barsaat,
Mulaqaat, Madaraat, Nuqaat, Ghaat, Barkaat,
Harkaat, Salwaat, Kalmaat, baghaat, Saoghaat,
Baaraat, Karamaat, Zaat, Kharabaat,
Amaaraat, Shurooaat, Baat, Najaat, Saat,
Safaat, Darjaat, Ma'loomaat, Raat,
Musaawaat, ________

Kuch bekasi-o-bedili bechaargi kay rang
Bas aajkal yahi hain iss zindagi kay rang


Khushi, Hansi, Dilkashi, Zindagi, Bandagi,
Aagahi, Teergi, Tishangi, Maikashi,
Chandani, Shairi, Dosti, Ajnabi, Bekasi,
Bebasi, Waaqai, Dilbari, Markazi, jotashi,
Maahri, Shaairi, Chaakri, Aakhri, Bedilli,
Mukhbari, Nambari, Aashqi, naokari,
Shuguftagi, Tazagi, Baahami, Jabri, Qudrati,
Mazhabi. Roshani, Ankahi, Bashri, Bheegati,
Manti, Janti, Bolti, Kholti, Sochti, Jagti,
Bhagti, Nachti, Kanpti, _______

Pather uthaya uss nay alzam day diya
Kuch na hoowa to nahaq dushnaam day diya

Aam, Muqaam, Kaam, Daam, Shaam, Jaam, Baam,
Faam, Naam, Haraam, Badaam, Kohraam, Badnaam,
Gaam, Alzaam, Benaam, Gulfaam, Alhaam,
Akraam, Araam, Inaam, Naakaam, Ahtraam,
Anjaam, Sar-e-aam, Paighaam, Dushnaam,
Salaam, _______

Badalay hain jab bhi taiwer in mahjabeenon kay
Kuch saanp nikal aaye thay unn aasteenon kay


Haseenon, Mahjabeenon, Aasteenon, Maheenon,
Khawabgeenon, Dilnasheenon, Qareenon,
Shoaqeenon, Makeenon, Zameenon, Aabgeenon,
Tarkeenon, Hamnasheenon, Gulcheenon,
Badanasheenon, Shaheenon, Aafreenon,
Jabeenon, Kameenon, Zaheenon, _______

Zindagi ki shama-e-umeed bas jalti rahi
Taiz-o-tund bad-e-mukhalif bhi magar chalti rahi

Jalti, Chalti, Malti, Sanbhalti, Pighalti,
Dhalti, Talti, Palti, Machalti, Ubalti,
Nikalti, Badalti, Khalti, Dahalti, Uchalti,
Masalti, Bahalti, Kuchalti, _______

Doo'aaon main apni asar daikhta hoon
Nahein saamnay woh magar daikhta hoon


Daher, Sahar, Fajar, Qehar, Lehar, Gehar,
Asar, Zafar, Nasar, Makar, Shehar, Zahar,
Chakar, Basar, Agar, Magar, Gohar, Shohar,
Kasar, Utar, Hazir, Maahir, Loafar, Lachar,
Digar, Jabar, Jigar, Bikhar, Nikhar, Ghar,
Bashar, Pidar, Pisar, Qamar, Hashar, Samar,
Kufar, Asar, ________

Door Baj uthi shehnaai dakhiye
Zindagi phir larhkharhai daikhiye


Kajadaai, Bewafaai, Narasaai, Shehnashaai,
Judaai, Jag Hansaai, Shehnaai, Narawaai,
Gunguaai, Khudaai, Lagaai, Hataai, Mitaai,
Lutaai, Kataai, Parsaai, Aai, Paai, Lajaai,
Larhkharhaai, Sunaai, Sagaai, Buraai,
Achaai, Shunwaai, Ghabraai, Kajraai, Nawaai,
Kehlaai, Bokhlaai, Mehkaai, Sharmaai,
Charpaai, Angrhaai, Gudgudaai, Gehraai,
Takraai, malaai, Jagaai, Gehraai, ______

Agar Bijliyon nay mera ghar jalaya
Zamanay ko bhi phoonk doonga khudaaya

Aaya, Jaaya, Bataaya, Bajaaya, Baqaaya,
Basaaya, Bulaaya, Bikhraaya, Bisraaya,
Banwaaya, Behlaaya, Bhagaaya, Bichaaya,
Bharaaya, Bikwaaya, Bulwaaya, Bachaaya,
Bharhkaaya, Badlaaya, Bithaaya, Behkaaya,
Bhijwaaya, Pikwaaya, Pitwaaya, Parhwaaya,
Pilwaaya, Pehnaaya, Paaya, Phansaaya,
Paraaya, Pilaaya, Pakaaya, Phailaaya,
Tulwaaya, Tarhpaaya, Tarsaaya, Takraaya,
Thukraaya, Thehraaya, Tapkaaya, Jalaaya,
Jagaaya, Jataaya, Jamaaya, Jatlaaya,
Jhutlaaya, Jhukaaya, Jhilmalaaya, Chalaaya,
Chamkaaya, Chabaaya, Chupaaya, Churhaaya,
Chalkaaya, Khudaaya, Dilaaya, Dabaaya,
Dohraaya, Dikhlaaya, Dikhaaya, Dilwaaya,
Dharhkaaya, Dhamkaaya, Dalwaaya, Daraaya,
Daswaaya, Silaaya, Silwaaya, Sikhaaya,
Sunaaya, Sehlaaya, Samjhaaya, Saaya,
Sharmaaya, Kajraaya, Kamlaaya, Katraaya,
Kehlaaya, Kataaya, Khilaaya, Katwaaya,
Khichwaaya, Giraaya, Ganwaaya, Ghataaya,
Ghabraaya, Loataaya, Larhaaya, Lalchaaya,
Lehraaya, Lajaaya, Lubhaaya, Lutaaya,
Latkaaya, Mitaaya, muskaaya, murjhaaya,
Mehkaaya, Manwaaya, Milaaya, Machaaya,
Manbhaaya, Na Aaya, Napwaaya, Narmaaya,
Nikalwaaya, Nubhaaya,__________

Chaman main sayaad nay her shay uthali toarhdi
Bijliyon nay pata pata dali dali toarhdi


Khaali, Maali, Daali, Gaali, Baali, Paali,
Qawaali, Misaali, Jagaali, Zawaali, Halaali,
Sawaali, Ghazaali, Taali, Jaali, Ubaali
Aali, Laali, Taali, Bahaali, Naraali, Rudaali,
Dewaali, Churaali, Ghataali, Sunaali,
Chabaali, Uthaali, Kuthaali, Dalaali,
Giraali, Hataali, Jalaali, Shumaali,
Jamaali, Dewaali, ________

Kuch pareshaan haal dil kay qadardan miltay rahay
Zindagi main aisay aisay mehrbaan miltay rahay


Bayaan, Anjaan, Bejaan, Shaan, Girabaan,
Shaadmaan, Kamraan, Azaan, Makaan, Dukaan,
Heraan, Aasaan, Gardaan, Jahaan, Dastaan,
Mehrbaan, Bezubaan, Payedaan, Hukmaraan,
Kisaan, Musalmaan, Maizbaan, Pasbaan,
Armaan, Pashemaan, Tarikaan, Aastaan,
Naojawaan, Badbaan, Lamakaan, Toofaan,
Baghbaan, Zubaan, Aasmaan, Biyabaan,
Qurbaan, Aashiqaan, Paan, Pareshaan,
Qaderdaan, Aaelaan, Deewaan, Insaan,
Irfaan, Ahsaan, Amkaan, Mezbaan, Jaan,
Paimaan, Maidaan, Arkaan, Nagahaan, _______

Aap aaye mehrbaani aapki
Dil hamaara hukmraani aapki


Merbaani, Zindgaani, AaniJaani, Baghbaani,
Jabraani, Aasaani, Mehmaani, Qurbaani,
Lasaani, Begaani, Manmaani, Jismaani,
Amkaani, Maani, Ghaibaani, Lamakaani,
Jawedaani, Chairhkhaani, Dhaani, Pareshaani,
Nishaani, Badgumaani, Paani, Puraani,
Tarjumaani, Chaani, Heraani, Nowjawaani,
Badbaani, Maizbaani, Biyaani, Anjaani,
Kamraani, Dastaani, Bezubaani, Hukmraani,
Aasmaani, Shahaani, Qadardaani, _______

Ankhain jab jab bher aayi to aankh ka kajal bheeg gaya
Bin badal bersat thi aisi saara aanchal bheeg gaya


Aadal, Baadal, Daldal, Chaghal, Tawakal,
Saahal, Bekal, Changal, Jangal, Kamal,
Bulbul, Kaahil, Haasil, Malmal, Dil,
Baabal, Unjal, Chal, Manzal, Jalthal,
Nirmal, Ghaayel, Shaamil, Shaghal, Sheetal,
Tamil, Maail, Jhilmil, Aanchal, Paagal,
Kaajal, Kaamil, Qaatal, Jaahil, Botal,
Bojhal, Haamil, _______

Yeh bhi uss nay kiya nikaala dushmani lainay ka dhang
Khud tamashaayi thay day ker ghair kay hathon main sang


Jang, Umang, Rang, Sang, Dhang, Umang,
Tarang, Berang, malang, Patang, Dang,
Gang, Tafang, Talang, Bhang, Palang,
Aahang, surang, ____________

Mudaton kay baa'd jo tehreer bhaiji aapnay
Kisi lafzon main chupi tasweer bhaiji aapnay


Tasweer, Tehreer, Zameer, Aseer, Lakeer,
Naseer, Shareer, Baseer, Basheer, Muneer,
Jageer, Madeer, Cheer, Heer, Paneer,
Tashheer, tanweer, Taseer, Gumbheer,
MunkarNakeer, Sameer, Kabeer, Qadeer,
Faqeer, Taqreer, Kashmeer, _________

Baraq nay jab lagai aag meray ashiaanay ko
Khabar tak bhi na honay di kahein saray zamanay ko

Banaanay, Zamaanay, Mitaanay, Khilaanay,
Bahaanay, Suhaanay, Kataanay, Giraanay,
Lagaanay, Jalaanay, Haraanay, Kamaanay,
Sulaanay, Uthaanay, Bithaanay, Bachaanay,
Lajaanay, Manaanay, Khataanay, Milaanay,
Hansaanay, Rulaanay, Chalaanay, Chupaanay,
Chukaanay, Dabaanay, Begaanay, Khudaanay,
Jaanay, Aanay, Lehraanay, Shermaanay,
Ganwaanay, Laanay, Laijaanay, Sikhaanay,
Bataanay, Hilaanay, Mahaanay, Nishaanay,
Aashiyaanay, _________

" Taa'mer Jari Hay "


iss safa ki mazeed taa'meer main hisa lain
Agar kuch alfaz aapki lughat main hon to
Mujhay bhaijiye, Takeh shaamil kiye jaa sakain
Shukriya.




MERI KUCH AOUR NAYI GHAZLAIN

"MUJH KO"


Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaaya mujh ko

Din ko aaram hay na raat ko hay chain kabhi
Jaanay kiss khaak say qudrat nay banaaya mujh ko

Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo milaa hay woh milaa ban kay paraaya mujh ko

Jabb koi bhi na rahaa kaandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaaya mujh ko

Uoon to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kiss nay jalaaya mujh ko

Bewafa zindagi nay jab choarh diya hay tanhaa
Moat nay piyaar say pehloo main bithaaya mujh ko

Woh diya hoon jo mohabbat nay jalaaya thaa kabhi
Gham ki aandhi nay sar-e-shaam bujhaaya mujh ko

Kaisay bhoolon gaa wohi wasl kay lamhay ALMAS
Yaad aata rahaa zulfon ka hi saaya mujh ko

"SAZA DAY RAHA HAY"



Mohabat main koi sazaa day rahaa hay
Kah har zakhm-e-dil abb mazaa day rahaa hay

Mujhay khatm kernay ki thaani hay uss nay
Main khush hoon woh sharf-e-qazaa day rahaa hay

Katar kar meray baal-o-par keh rahaa thaa
Khuli har taraf yeh fizaa day rahaa hay

Jo Maqtal main main nay jhukaaya thaa sar ko
Woh samjhaa aadab-e-razaa day rahaa hay

Bharosaa hay kiya abb mari zindagi kaa
Yeh dil bewafaa hay daghaa day rahaa hay

Jhalak ik dikhaa kar barhaa teer maaraa
Wafaawon ka kaisaa silaa day rahaa hay

Hay ALMAS uss ki inaayat, Nawaazash
Kah deedaar waqt-e-Nazaah day rahaa hay

"BEHAL RAHAY HAIN"



Hamaaray honton pay aaj kal woh wafa kay naghmay machal rahay hain
Tumhaari yaadon kay talkh lamhay hamaari palkon pay jal rahay hain

Yah raah-e-ulfat kahaan hay aasan qadam qadam par rukaawatain hain
Lagi jo thokar tumhain to ham bhi tuhaari khatir sanbhal rahay hain

Raqaabton kay bharay jahaan main har ik nay badlaa hooa hay chahra
Milay bohat logg ham ko aisay jo apnaa bann kar hi chall rahay hain

Bicharh kay tum say hay ham nay janaa yah zindagi bhi hay namukamal
Kayi adhooray hamaaray armaan abhi bhi seenay main pall rahay hain

Guzar rahi hay yeh zindagi uoon kah ham ko apni khabar khaan hay
Zamaanay nay jis tarah say dhala ham uskay sanchon main dhal rahay hain

Hooay thay beaabroo kuch aisay nikal kay ham uss teri gali say
Kah jiasy bagh-e-adan say aadam jhukaa kay sar ko nikal rahay hain

Kuch unn kay milnay ki aarzoo main, wasal ki ALMAS chand umeedain
Naa jaanay kiss kiss tarah kay aksar khilonay paa kar bahal rahay hain

Apnay izhaar-e-khiyal kay liye zaroor likhain..Shukriyaa



"LIKHNAY WAALAY"



Woh kiya hooay hain piyaar main deewaan likhnay waalay
Miltay kahaan hain aisay insaan likhnay waalay

Likhaa hay naam tera seenay main dil kay andar
Ham say bhi kiya milain gay meri jaan likhnay waalay

Aakar mari gali main chup chaap guzar jaana
Bhaija hay tum nay kaisa farmaan likhnay waalay

Likha thaa bhool jaaon sab piyaar kay woh waa'day
Samjhay hooay hain kitna aasaan likhnay waalay

Jalta hay ik charagh-e-umeed dil main phir bhi
Qismat main meri hardam toofaan likhnay waalay

Yeh hay mazaar-e-aashiqlikhwaayein jo qabar par
Woh aour hongay mar kar aa'laan lihnay waalay

Chup chaap jaan day kar rakhain gay raz-e-ulfat
ALMAS ham nahein hain ahsaan likhnay waalay

Aapka khair andesh
S T E V E A L M A S
__________________________________________________

 
Favourite Links
 

INTEKHAB-E-GHAZAL
Selected Urdu Ghazals By: Steve Almas


URDU MARKAZ/ PARDES
Urdu Magazine on the Net. By: Tayyar


CANADIAN TAX
Free Download

Email me on:
aziz@escape.ca

This page has been visited times.